Allama iqbal poetry
sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahin ye fazaen
yahan saikdon karvan aur bhi hain
Amal Se Zindagi Banti Hai, Jannat Bhi, Jahannam Bhi,
Ye Khaki Apni Fitrat Mein, Na Noori Hai Na Naari Hai.

qanaat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ik nasheman to kya ġham
maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
tu shahin hai parvaz hai kaam tera
tire samne asman aur bhi hain
isi roz o shab men ulajh kar na rah ja
ki tere zaman o makan aur bhi hain
Allama iqbal poetry in english

gae din ki tanha tha main anjuman men
yahan ab mire raz-dan aur bhi hain
Allama Iqbal poem in english
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz men
ki hazaron sajde taDap rahe hain miri jabin-e-niyaz men
tarab-ashna-e-kharosh ho to nava hai mahram-e-gosh ho
vo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz men
tu bacha bacha ke na rakh ise tira aa.ina hai vo aa.ina
ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz men
dam-e-tauf kirmak-e-sham.a ne ye kaha ki vo asar-e-kuhan
na teri hikayat-e-soz men na miri hadis-e-gudaz men
na kahin jahan men amaan mili jo amaan mili to kahan mili
mire jurm-e-khana-kharab ko tire afv-e-banda-navaz men
na vo ishq men rahin garmiyan na vo husn men rahin shokhiyan
na vo ghaznavi men taDap rahi na vo kham hai zulf-e-ayaz main
main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz men
Manzil se aage badh kar, manzil talash kar,
Mil jaye tujhko dariya, samundar talaash kar.
Har sheesha toot jaata hai pathar ki chot se,
Pathar hi toot jaye, wo sheesha talaash kar
Iqbal shayari in english
azaar Khauf Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq
Yahi Raha Hai Azal Se Qalandron Ka Tareeq
Hajhoom Kyun Hai Ziyada Sharaab Khanaay Mein
Faqat Yeh Baat Ke Peer Maghaan Hai Mard Khaleeq
Ilaaj Zauf Yaqeen Un Se Ho Nahi Sakta
Ghareeb Agarchay Hain Raazi Ke Nuqta Haye Daqeeq
Mureed Saada To Ro Ro Ke Ho Gaya Taib
Khuda Keray Ke Miley Sheikh Ko Bhi Yeh Tofeeq
Isi Tilsam Kehan Mein Aseer Hai Aadam
Baghal Mein Is Ki Hain Ab Taq Bataan Ehad Ateeq
Maray Liye To Hai Iqraar Bil-lisaan Bhi Bohat
Hazaar Shukar Ke Mila Hain Sahib Tasdeeq

Agar Ho Ishhq To Hai Kufar Bhi Musalmani
Nah Ho To Mard Musalmaan Bhi Kafir O Zandeeq
Khird-Mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai
Ki Main Is Fikr Men Rahta Huun Meri Intiha Kya Hai
khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai
maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar huun
yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai
nazar aaiin mujhe taqdir ki gahraiyan is men
na puchh ai ham-nashin mujh se vo chashm-e-surma-sa kya hai
agar hota vo majzub-e-farangi is zamane men
to ‘iqbal’ us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai
nava-e-subh-gahi ne jigar khuun kar diya mera
khudaya jis khata ki ye saza hai vo khata kya hai
allama Iqbal shayari in english
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai.”
― allama iqbal
“people who have no hold over their process of thinking ara likely to be ruined by liberty of thought.”
― Allama Iqbal
“Ki Muhammad se wafa toonay to ham teray hain
Ye jahan cheez hai kiya lauho qalam tere hain”
― Allama Mohammad Iqbal
“My ancestors were Brahmins. They spent their lives in search of god. I am spending my life in search of man.”
― Allama Iqbal
“From love’s plectrum arises
the song of the string of life
Love is the light of life
love is the fire of life”
― Allama Iqbal
“Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi
Allama Iqbal shayri
“maa tujhe salaam
pher lete hai nazar jis waqt bete or bahu..
ajnabi apne hi ghar me hae ban jati hai maaa..”
― Allama Iqbal poetry
“Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar,
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar;
Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko,
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar;
Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai,
Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar
Allama Iqbal poetry in Urdu Font
“وممات الحي فقدان الرجاء
يُطفئ الشعلة فِقدان الهواء”
“كفنا ألقت بخيط الوحدة
كم تري فى أمرنا من عُقدة ؟
قد مضينا كنجوم حائرة
إخوة لكن وجوه نافره”
“كل من فى نفسه لا يحكمُ
هو فى حُكم سواه مُرغَمُ”
“قیودِ شام و سحر میں بسر تو کی لیکن
نظامِ کُہنہ عالم سے آشنا نہ ھوا”
“Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan
Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab
O slave of calculation, do not be a bookworm!
Love is Presence entire, Knowledge nothing but a Veil.
Nahin Minnatkash-e-Taab-e-Shaneedan Dastan Meri
Khamoshi Guftugu Hai, Be-Zubani Hai Zuban Meri
Muhammad iqbal shayari
My story is not indebted to the patience of being heard
My silence is my talk, my speechlessness is my speech
Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri
Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri
Why does this custom of silencing exist in your assembly?
My tongue is tantalized to talk in this assembly
Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne
Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne
Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Some leaves were picked up by the tulip, some by the narcissus, some by the rose
My story is scattered around everywhere in the garden
Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon Ne
Chaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri
The turtle‐doves, parrots, and nightingales pilfered away
The garden’s denizens jointly robbed away my plaintive way
Tapak Ae Shama Ansu Ban Ke Parwane Ki Ankhon Se
Sarapa Darun Hun, Hasrat Bhari Hai Dastan Meri
O Candle! Drip like tears from the eye of the moth
Head to foot pathos I am, full of longing is my story”
― Allama Mohammad Iqbal
Allama Iqbal poetry in Urdu
“فأمل الخير وصابر لا تمل…إنما الدنيا رجاء وعمل
وقضاء الله عون الآملين…وهو في عون الأباة العاملين
لا يرد الله قلبا آملا…لا يرد الله عبدا عاملا”
“خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے
کہ میں اس فکر میں رہتا ہوں، میری انتہا کیا ہے
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے، بتا تیری رضا کیا ہے
مقامِ گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوں
یہی سوزِ نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہے
نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میں
نہ پوچھ اے ہمنشیں مجھ سے وہ چشمِ سرمہ سا کیا ہے
اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میں
تو اقبال اس کو سمجھتا مقام کبریا کیا ہے
نوائے صبح گاہی نے جگر خوں کر دیا میرا
خدایا جس خطا کی یہ سزا ہے وہ خطا کیا ہے؟”
― Sir Muhammad Iqbal Allama Iqbal
“أرأيت الصقر في متن الرياح…يطلب الرزق بعزم وجناح
طائرا في الجو يسمو عازما…لا يرى حول الدنايا حائما”
“همم الأحرار في إيمانها…سنن الخلاق في أكوانها
سنة الله التي لا تبدل…مالها كر الليالي حول”
“كل من أثر فيها أثرا…خالدا للخير ما بين الورى
فاصطنع للخير فكرا ويدا….ولسانا وابغ في الخير يدا”
“كل من أدلى بقول طيب…ينبت الخير كغيث صيب”
“امض في الدنيا كنهر في جبال… واعرف الأغوار فيها والنجودا
أو مثال السيل فجرف كل شيئ…لا تباليه هبوطا أو صعودا”
“يا جهولا بقدر نفسك لولا… أنت كان العقيق كالصوان”
“كن مثل الشيخ فريد الدين العطار في معرفته, و جلال الدين الرومي في حكمته, و أبي حامد الغزالي في علمه و ذكائه, و كن مع من شئت في العلم و الحكمة, و لكنك لا ترجع بطائل, حتى تكون لك أنّة في السَحَر”
“من ينم عن سعيه لا يتكل…إنما التكلان سعي متصل”
“إنما العابد من خاض الحياة…موضحا فيه سبيلا للنجاة
آخذ بالعدل ما عنه حول…ذاكرا مولاه في كل عمل”
“إنما التكلان عزم وعمل…إنه الإقدام في ضوء الأمل”
“أرايت العزم في شكل جناح…خافقا لا ينثني دون النجاح
لا يصد الطير خوف التهلكة…أو تبالي بطريق مهلكة”
“هو بالله وفي الله غني…ضاق عن هذا الغنى كل ثري”
“وفقير وغناه لا يحد…فقره استغناوه عن كل يد
هو بالله وفي الله غني…ضاق عن هذا الغنى كل ثري”
Khuda tujhe kisi toofaan se aashna karde,
Ke tere behr ki maujon men iztiraab naheen
― Muhammad Iqbal
Muhammad Iqbal shayari in english
May God grant you a storm! The voyage of your life is on too placid an ocean…”
― Muhammad Iqbal
majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
nazzare ki havas ho to laila bhi chhoD de
vaaiz kamal-e-tark se milti hai yaan murad
duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de
taqlid ki ravish se to behtar hai khud-kushi
rasta bhi DhunD khizr ka sauda bhi chhoD de
manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair
begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de
lutf-e-kalam kya jo na ho dil men dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de
shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
is baagh men qayam ka sauda bhi chhoD de
hai ashiqi men rasm alag sab se baiThna
but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de
sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai
ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
Achchha Hai Dil Ke Saath Rahe Pasban-E-Aql
Lekin Kabhi Kabhi Ise Tanha Bhi ChhoD De
Jiina Vo Kya Jo Ho Nafas-E-Ghair Par Madar
Shohrat Ki Zindagi Ka Bharosa Bhi ChhoD De
Iqbal shayari status

shokhi si hai saval-e-mukarrar men ai kalim
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de
vaaiz subut laae jo mai ke javaz men
‘iqbal’ ko ye zid hai ki piina bhi chhoD de
Acheter Cialis: Tadalafil 20 mg prix en pharmacie – Acheter Cialis 20 mg pas cher tadalmed.shop
http://pharmafst.com/# pharmacie en ligne france livraison belgique
http://pharmafst.com/# Achat mГ©dicament en ligne fiable
Cialis sans ordonnance 24h: Cialis sans ordonnance 24h – cialis prix tadalmed.shop
https://tadalmed.com/# Cialis sans ordonnance 24h
Tadalafil 20 mg prix en pharmacie: Cialis en ligne – Cialis sans ordonnance 24h tadalmed.shop