सो जाते है फुटपाथ पे अखबार बिछा कर
मज़दूर कभी नीं की गोली नहीं खाते
so jaate hain footpath pe akhbar bichha kar
mazdur kabhi niind ki goli nahin khate
farishte aa kar un ke jism par khushbu lagate hain
vo bachche rail ke Dibbon men jo jhau lagate hain
mazdoor shayari
फ़रिश्ते आ कर उन के जिस्म पर खुश्बू लगाते हैं
वो बच्चे रेल के डिब्बों में जो झाड़ू लगाते हैं
tu qadir o aadil hai magar tere jahan men
hain talkh bahut banda-e-mazdur ke auqat
तू कदीर ो आदिल है मगर तेरे जहाँ में
है तल्ख़ बहुत बंदा इ मजबूर के औकात
kuchal kuchal ke na fōt-path ko chalo itna
yahan pe raat ko mazdur khvab dekhte hain
कुचल कुचल के न फुटपाथ को चलो इतना
यहाँ पे रात को मज़दूर खाब देखते हैं
bojh uthana shauq kahan hai majburi ka sauda hai
rahte rahte station par log quli ho jaate hain
mazdoor ki shayari
बोझ उठाना शौक़ कहाँ है मज़बूरी का सौदा है
रहते रहते स्टेशन पर लोग कुली हो जाते हैं
aane vaale jaane vaale har zamane ke liye
aadmi mazdur hai rahen banane ke liye
आने वाले जाने वाले हर ज़माने के लिए
आदमी मज़दूर है रहे बनाने के लिए
niind aaegi bhala kaise use shaam ke ba.ad
roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke baad
mill malik ke kutte bhi charbile hain
lekin mazduron ke chehre piile hain
daulat ka falak toD ke aalam ki jabin par
mazdur ki qismat ke sitare nikal aae
shahr men mazdur jaisa dar-ba-dar koi nahin
jis ne sab ke ghar bana.e us ka ghar koi nahin
shayari on mazdoor
zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
bhuuk hi mazdur ki khurak ho ja.egi kya
जिंदगी अब इस कदर सफ्फाक हो जाएगी क्या
भूख ही मज़दूर की खुराक हो जाएगी क्या
main ne ‘anvar’ is liye bandhi kala.i par ghaDi
vaqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke biich
मैं ने अनवर इस लिए बाँधी कलाई पर घडी
वक़्त पूछेंगे कई मज़दूर भी रास्ते के बिच
khuun mazdur ka milta jo na taamiron men
na haveli na mahal aur na koi ghar hota
खून मज़दूर का मिलता जो ना तामिरों में
ना हवेली ना माहौल और न कोई घर होता
majdur shayari
ab un ki khvab-gahon men koi avaz mat karna
bahut thak-har kar footpath par mazdur soe hain
अब उन की ख़्वाब-गाहों में कोई आवाज़ मत करना
बहुत थक-हार कर फ़ुटपाथ पर मज़दूर सोए हैं
saron pe oDh ke mazdur dhuup ki chadar
khud apne sar pe use sa.eban samajhne lage
is liye sab se alag hai miri khushbu ‘ami
mushk-e-mazdur pasine men liye phirta huun
तेरी ताबिश से रौशन हैं गुल भी और वीराने भी
क्या तू भी इस हँसती-गाती दुनिया का मज़दूर है चाँद?
शबनम रूमानी
Teri taabish se raushan hain gul bhi aur veerane bhi
Kya tu bhii is hasti-gaati duniya ka mazdoor hain chaand
Shabnam Rumani
mazdoor diwas shayari |मजदूर दिवस शायरी
तू क़ादिर ओ आदिल है मगर तेरे जहाँ में
हैं तल्ख़ बहुत बंदा-ए-मज़दूर के औक़ात
अल्लामा इक़बाल
Tu kaadir o aadil hai magar tere jahan mein
Hain talkh bahut banda-e-mazdoor ke aukaat
Allama Iqbal
ज़िंदगी अब इस क़दर सफ़्फ़ाक हो जाएगी क्या
भूक ही मज़दूर की ख़ूराक हो जाएगी क्या
रज़ा मौरान्वी
Zindagii ab is kadar saffaak ho jaayegi kya
Bhook hii mazdoor ki khoorak ho jaayegi kya
Raza Mauranavi
लोगों ने आराम किया और छुट्टी पूरी की
यकुम* मई को भी मज़दूरों ने मज़दूरी की
mazdoor shayari
आने वाले जाने वाले हर ज़माने के लिए
आदमी मज़दूर है राहें बनाने के लिए
हफ़ीज़ जालंधरी
Aane vaale jaane vaale har zamaane ke liye
Aadami mazdoor hai raahein banaane ke liye
Hafeez jalandhari
Mazdoor diwas shayari
ख़ून मज़दूर का मिलता जो न तामीरों में
न हवेली न महल और न कोई घर होता
हैदर अली जाफ़री
Khoon mazdoor ka milta jo na taamiron mein
Na haveli na mahal aur na koi ghar hota
Haidar Ali Jafri
labour day shayari
इधर एक दिन की आमदनी का औसत चवन्नी है
उधर लाखों में गांधी जी के चेलों की कमाई है
वो जिसके हाथ में छाले पैरों में बिवाई है
उसी के दम से रौनक आपके बंगले में आई है